Shahrukh Khan’s Dialogue in Ae Dil Hai Mushkil with Ranbir Kapoor and Aishwarya Rai Bachchan.
Today is 2nd November 2016 and it’s King Khan’s birthday and here we are with his dialogue with Ranbir Kapoor in Ae Dil Hai Mushkil. There are only a few lucky ones who get love in return from the same person they’ve loved. But there are those who are not so lucky and If you’re one of them, you have The birthday boy / sir 😉 Shahrukh Khan and Ranbir Kapoor to make you feel good about your one-sided love.
Kisi ko pyar karna aur ussi se pyar paana… bahut kam logon ko naseeb hota hai
– Dil To Pagal Hai
Ae Dil Hai Mushkil is a complicated story of Love and Friendship by Karan Johar in which Shahrukh did a small cameo. He is playing a painter named Tahir who is Saba’s (Aishwarya) divorced husband. There is this scene where Shahrukh Khan along with Aishwarya has a dialogue with Ranbir Kapoor which inspires RK for his one sided love for Alizeh (Anushka Sharma).
Here goes the complete ek-tarfa pyar wala dialogue from SRK-Aish-RK scene in ADHM.
[Spoilers Ahead]
Who Loves Whom?
Tahir (SRK) loves Saba (Aishwarya)
Saba loves Ayaan (Ranbir)
Ayaan loves Alizeh (Anushka)
Alizeh loved Ali (Fawad)
Shahrukh Khan’s Dialogue with RK:
Tahir (SRK): Facebook se khabar mili, do cheeze pata chalin
Tumhari deewaron ka rang aur tumhaare dil ka pataa
Saba: Ayaan.. Tahir
Ayaan: Fantastic work Sir!
Tahir: Sir… Really, sir?
Izzat bhi de rahe ho aur umar bhi yaad dila rahe ho.
By the way ye tumhe ma’am to nahi bulata hoga 😉
Saba: Nahi.
Tahir: I don’t know 😀 toh tum ho jisne inki raaton ki neend uda di
Ayaan: haan, main inhe sone nahi deta
Tahir: Aisa to mat karo yaar, thoda to sone do, warna main inke khwabon mein kaise aa paunga
Ayaan: Ab to bilkul sone nahi dunga
Saba: change of topic, waise tumhare khwaab to kaamil ho chuke hain and your new work is very interesting
Tahir: Actually fantastic
Mehbooba ki baahon se chhutti kya mill gayi
Haathon ko kaam aa gaya 😉
Ayaan: Sorry, lekin, aap ye lines ratt ke aate hain
Tahir: nahi natural andar se andar se..
Dare huve log aksar alfaazon ke peeche chhupte hain
Humaari kahaani badal gayi, khauf nahi badla
Ayaan: Kahani kyun badli, If I may ask?
Tahir: you asked, unhi se pucho jinhe tum raaton ko sone nahi dete
Saba: rishton ki geeli zameen pe log aksar phisal jaaya karte hain
Tahir: yeah… tumhari sambhal bhi to sakti thi
Saba: Jo giraaye wohi sambhale
Tahir (to ayaan): nafrat karta hoon main tumse, actually a lot
Ayaan: itni nafrat itni jaldi, sir thoda waqt to deejiye
Tahir: aur tumse nafrat karna jaayaz bhi hai
Kyunki aaj bhi main Saba se beinteha mohabbat karta hoon
Saba: Maine tumhari mohabbat dekh li
Ab tum bhi meri dosti aazma ke dekh lo
Ayaan: Aasan hai kya aise mohabbat karna
Jiske badle mohabbat na mile
Tahir (SRK): IT’S THE MOST BEAUTIFUL FEELING IN THE WORLD
Ayaan: Kamzori nahi lagti aapko
Tahir: bilkul nahi, ek tarfa pyaar ki taaqat hi kuch aur hoti hai
Aur rishton ki tarah ye do logon mein nahi bant’ti
Sirft mera haq hai ispe, sirf mera..
Mujhe Saba se beinteha mohabbat karne ke liye Saba ki hi zaroorat nahi
Ho sakta hai is’se koi behtar Ishq
Aur agar baazi ishq ki baazi hai, to jo chaahe laga lo darr kaisa
Aur jeet gaye to kya kehna,
Agar haare bhi to baazi maat nahi
0 Comments